Aarti : Om Jaya Jagadisha Hare
Om jai jagdish harey
Swami jai jagdish harey
Bhagt jano ke sankat
shan mein door karey
Om jai jagdish harey
Jo Dhiyavay phal pavay
dukh binase man ka
Swami dukh binase man ka
Sukh Sampati ghar aavey
kasht mitay tan ka
Om jai jagdish harey
Mat Pita tum mere
sharan pau kisaki
Swami sharan pau kisaki
Tum bin aur na duja
aash karoo jisaki
Om jai jagdish harey
Tum pooran parmatma
tum antaryami
Swami tum antaryami
Par Brahm parmeshwar
tum sabke swami
Om jai jagdish harey
Tum karuna ke sagar
tum palan karta
Swami tum palan karta
Mae murakh kul kami
kripa karo bharta
Om jai jagdish harey
Tum ho ek agochar
sabh ke pranpati
Swami sabh ke pranpati
Kisa bida milu gusai
tumko mae kumati
Om jai jagdish harey
Din Bandu dukh harta
thakur tum mere
Swami thakur tum mere
Apne hath uthao
apnay charan lagao
Dwar khada tere
Om jai jagdish harey
Vishay vikar mitao
pap haro deva
Swami pap haro deva
Sharda Bhakti Badao
Santan ki sewa
Om jai jagdish harey
Om jai jagdish harey
Swami jai jagdish harey
Bhagt jano ke sankat
shan mein door karey
Om jai jagdish harey
Friday, January 25, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment